वक्रतुण्ड महाकाय सूर्यकोटि समप्रभ।
निर्विघ्नं कुरु मे देव सर्वकार्येषु सर्वदा॥
Khwaiish meri pehli kahani hai,lakin khwaiish ki story se pehle main aap sabhi logon ko mere bare me kuch batana chahta hoon.Ye undino ki baat hai jab main mumbai me apni film-making cource karne gaya hua tha.Hum sabhi ko apni ek diploma movie banani thi aur khwaiish meri diploma movie bani.
2014,August,rakhsabandhan se ek din pehle main Thane,mumbai se nikal kar apne behen k ghar Ankhleshwar,Gujrat ja raha tha,raste me mere dimag me yehi chal rahi thi ki mujhe apni diploma movie k liye story sochni hai,tabhi ek signal par mere auto me kuch kinnar loag aae aur mujhe ashirwad diya jab maine unko 10/- diya.Tabhi mere dimag me ye cheez aae ki kyu na meri story inhi par ho.
Train me baithe baithe pure raste maine yehi socha hi story kaise honi chahiye aur story kis par banani chahiye,sham talak main Ankleshwar bhi pahuch gaya,agle din hi rakhsabandhan thi ek din ka break le k rakhsabandhan k agle hi din main wapas mumbai ki aur nikal pada,esbar maine train me apni laptop me likhna suru kardiya,dopeher tak maine lagbhag 25% apni story par pahuch chuka tha,usi raat maine 2am se phir se apni story start kari aur subha 6am tak 80% khatam kar di.
Story mujhe pata tha ki ki sabse alag hogi esiliye main dar bhi raha tha kisi k sath share karne se,mere mentor Sir.Sailesh ne hum sabhi directors se pucha unki stories toh jab maine unke samne apni story rakhi toh unhone na jane ek movie ka naam liya aur kaha ki mere story ussey match karti hai,main thoda depressed hua,magar maine dushre story k bare me bilkul hi nahi socha aur kaha ki main apna kahani bana k hi logon ko samjhaunga tab agar kisi ne kaha ki ye story kisi aur kahani se match karti hai tab main esay apni failure samjhunga.Maine apni story par hi kayam rakhne ka sabse bada risk liya.
Phir bari aati hai script pura kar k narration dene ki,toh tezz barish k karan kahe ya upar wale ki marzi main college narration dene ja nahi paya,meri kahani sabke samne nhi aapati,but jo mere sath hi k directors the unke nazro me ek underdog ban chuka tha,phir bari aati hai casting ki toh auditions hote hai,kuch ache actors ka bekar jata hai audition kuch ka kamjoor actors ka bahut acha,esi aution me ek actor jiska naam bhi Vishal hot hai usne sabhi baki directors the dil jeet liya,aur total batch ki 4 movies me se usko 2 movies me cast k liye chun liya jata tha.
Mere liye audition ek acha experience tha,but maine apne casting already choose kar li thi,jaise hi humlogon ko final casting sabhi ko sunani thi,sabhi almost mere dost mujhse naraz ho gaye.Maine lead k liye bhi ek underdog ko cast kiya tha magar mujhe abhimaan me aake mana kar diya ki woh ye role nahi karega,tabhi najane kaha se ek banda aata hai Maullik Rajguru Lambe kaad ka,kehte hai best actor humare batch ka,usne mujhe kaha vishal bhai hum sab aapki movie me hi kaam karna chahte the,maine bataya mera role,usne kaha mujhe ye challenge role karna hai.Kehte hai dubte ko tinke ka sahara.Humdono ki ek dushre ki umeed ban k samne aae.
Maullik bhi 3diploma movies me tha,but usko mere movie k liye maine asli mehnat karte hue dekha,mera confidence bhi badha,baki cast me maine unsabko liya jinko kisi ne apne movie k liye socha bhi nahi hoga,but mujhe unke character k according mere role k liye hi woh perfect lage aur humne zoro soro se start kar di rehearsal.
Shooting Day
Subha se hi main apne college me aagaya tha props and costumes k karan,tabhi mere mentor sir mujhe aake k batate hai ki maine jo location mangi thi woh available nhi hai waha bhi night shoot hai.Maine meri diploma moie k liye pavitra rista ka set kaha tha magar woh nhi mila but uske upar me hi ek room mila,woh jaga thodi choti thi magar mujhe thikh hi laga kyuki mujhe gareeb ka ghar hi dikhana tha.mere dost camera man bittu ne mujhe kaha sir yahan nhi kar paenge aap wohi karwao,maine usko samjhaya yaar ho jaega,mere sir ko acha laga unhone kaha director ko creativity pata hai tu camera department me ho k nhi dekh paya.
Location ka issue resolve hote hi mujhe wig dudhne k liye CST jana pada waha manish market ghumaa phir ja k wig mila.Us waqt tak meri pocket money bhi khatam hone wali thi,aur utne me hi mujhe puri bhi aana tha.
main wig leke dost k flat me pahucha waha tha relax kiya,maine subha se kuch bhi nahi khaya tha etni tension yhi ki kaise hoga complete kya hoga,koi dikkat toh ab nahi hongi,aise khayal bar bar aarahe the.
mere actors mere team sab 10:30pm tak pahuch gayi,phir location milne me humme 1hrs ka delay hua. Moral down hone laga maine makeup k liye actors ko bheja tabhi ek aur problem aae ki kinnaro ko blouses fit nahi aarahi thi,maine apne doston ko kaha ki thoda faad k kaam chala lo,es cheez me meri help meri co direcor friend Megha ne ki,Sab kuch setup hone k baad cameraman bola ki maine card hi nahi laya.Har koi shock reh gaya,phir woh college ki taraf bhaga,maine asst camera man Aditya se bola tere dlsr se apne shoot kar paenge,he said off-course.Chaliye plan B toh tha,phir yaad aaya ki maine toh ganpatti baappa ki pooja hi nahi ki,Humne pray ki aur dost card le k aagaya.
Jaise hi bappa naam aaya shooting chal padi sabkuch bahut acha jaraha tha, lakin end me mujhe climax k liye market area chahiye tha aur waha doordarshan ka koi serial ka shoot chal raha tha,mera dimaag waha ja k kharab hua maine jabardasti ja k waha apni shoot khatam ki aur last shot tak k end me dono camera ki batteries bhi dead.
So upar wale ne mujhe mere kaam me puri madad ki thi.
Subha k 6am ho chuke the aur aaj k din ganpatti tha,main aur ek dost metro pakad k local me thane gaye,es metro se local tak ka safar me jo sukoon mila tha usko kisi sabd me main bayan nhi kar sakta.
Ganpati Bappa Moriya...
Mangal Murti Moriya..
Doston kar koi bhul hue ho likhne me toh mujhe maaf kar dena.pehla blog hai mera.
Well written 👌👌👏👏keep it up and best wishes 👍👍
ReplyDeleteEveryone should follow their dream. No matter how difficult it is to achieve. Keep dreaming 😊
ReplyDeleteGanpati bappa ka naam hamesha shubh hota hai.....
ReplyDelete